Love Status In Hindi
Love WhatsApp Status, Image Status, Hindi Love Shayari, First Love | By Prayash Jha
Apni saanson mein mehakta paya hai tujhe,
Toh mujhe kehna hai chhod kar na jaana mujhe.
Suno, agar mujhe kuch ho jaaye toh rona mat,
Kyunki main tumhari aankhon mein aansu bilkul nahi dekh sakta.
Life mein agar aap kisi se pyaar karo toh use khona mat,
Kyunki woh log khaas hote hain jis par aapka dil aata hai.
Ek shaam aati hai tumhari yaad lekar,
Ek din aata hai tumhari yaad dekar,
Ab kis tarah manaun Dil ko?
Main akela hi chala tha manzil ki aur,
Tune kisko mere peeche laga diya.
Tu meri neend hai, tum meri aadat hai,
Par kaise bataun tujhe pyaar hai tumse,
Kyunki tu bahut khoobsurat hai.
Mana sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai,
Lekin aapko kahan se doon,
Par yeh baat bhi sach hai ki main aapse pyaar karta hoon.
Suno, kisi se dil lag jaane ko mohabbat nahi kehte,
Are love toh use kehte hain jo kabhi khatam na ho.
Ek sacha dil sabke paas hota hai,
Lekin ek sacha pyaar karne wala har kisi ke paas nahi hota hai.
Deewangi mein kuch aisa kar jaenge,
Ki log mujhe tere naam se jaanenge.
Hum ruth gaye toh kaise manaoge?
Kitna pyaar karte ho tum, kaise jataoge?
Agar main na maanu toh apna aansu kaise chhupaoge?
Ab na raat guzarti hai na din,
Mujhe lagta hai main mar jaunga tere bin.
Bahut kuch bikta hai bazaar mein prayash,
Ek ishq hai jo bas ho jata hai.
Chhupa lunga tujhe is tarah meri baahon mein,
Ki hawa bhi guzarne ke liye ijaazat maange.
Aankhon mein na humko dhoondho sanam,
Hum toh aapke dil mein rehte hain.
Koi nahi marta kisi ke chhod jaane se,
Waqt sabko jeena sikha deta hai kisi naye ke aane se.
Badalna nahi aata hamein mausam ki tarah,
Har ek lamha tera intezar karta hoon,
Tujhe pata hai ki nahi mujhe nahi pata,
Lekin main tumse sacha pyaar karta hoon.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें